- Advertisement -
ज़ख़्म-ए-उम्मीद भर गया कब का
क़ैस तो अपने घर गया कब का
अब तो मुँह अपना मत दिखाओ मुझे
नासेहो मैं सुधर गया कब का
आप अब पूछने को आए हैं
दिल मिरी जान मर गया कब का
आप इक और नींद ले लीजे
क़ाफ़िला कूच कर गया कब का
मेरा फ़िहरिस्त से निकाल दो नाम
मैं तो ख़ुद से मुकर गया कब का
zaḳhm-e-ummīd bhar gayā kab kā
qais to apne ghar gayā kab kā
ab to muñh apnā mat dikhāo mujhe
nāseho maiñ sudhar gayā kab kā
aap ab pūchhne ko aa.e haiñ
dil mirī jaan mar gayā kab kā
aap ik aur niiñd le liije
qāfila kuuch kar gayā kab kā
merā fihrist se nikāl do naam
maiñ to ḳhud se mukar gayā kab kā