ये मिस्रा नहीं है वज़ीफ़ा मिरा है
ख़ुदा है मोहब्बत मोहब्बत ख़ुदा है
कहूँ किस तरह मैं कि वो बेवफ़ा है
मुझे उस की मजबूरियों का पता है
हवा को बहुत सर-कशी का नशा है
मगर ये न भूले दिया भी दिया है
मैं उस से जुदा हूँ वो मुझ से जुदा है
मोहब्बत के मारों पे फ़ज़्ल-ए-ख़ुदा है
नज़र में है जलते मकानों का मंज़र
चमकते हैं जुगनू तो दिल काँपता है
उन्हें भूलना या उन्हें याद करना
वो बिछड़े हैं जब से यही मश्ग़ला है
गुज़रता है हर शख़्स चेहरा छुपाए
कोई राह में आईना रख गया है
बड़ी जान लेवा हैं माज़ी की यादें
भुलाने को जी भी नहीं चाहता है
कहाँ तू ‘ख़ुमार’ और कहाँ कुफ़्र तौबा
तुझे पारसाओं ने बहका दिया है
YE MISRA.A NAHĪÑ HAI VAZĪFA MIRĀ HAI
ḲHUDĀ HAI MOHABBAT MOHABBAT ḲHUDĀ HAI
KAHŪÑ KIS TARAH MAIÑ KI VO BEVAFĀ HAI
MUJHE US KĪ MAJBŪRIYOÑ KĀ PATĀ HAI
HAVĀ KO BAHUT SAR-KASHĪ KĀ NASHA HAI
MAGAR YE NA BHŪLE DIYĀ BHĪ DIYĀ HAI
MAIÑ US SE JUDĀ HUUÑ VO MUJH SE JUDĀ HAI
MOHABBAT KE MĀROÑ PE FAZL-E-ḲHUDĀ HAI
NAZAR MEÑ HAI JALTE MAKĀNOÑ KĀ MANZAR
CHAMAKTE HAIÑ JUGNŪ TO DIL KĀÑPTĀ HAI
UNHEÑ BHŪLNĀ YĀ UNHEÑ YAAD KARNĀ
VO BICHHḌE HAIÑ JAB SE YAHĪ MASHĠHALA HAI
GUZARTĀ HAI HAR SHAḲHS CHEHRA CHHUPĀ.E
KOĪ RAAH MEÑ Ā.ĪNA RAKH GAYĀ HAI
BAḌĪ JAAN LEVĀ HAIÑ MAAZĪ KĪ YĀDEÑ
BHULĀNE KO JĪ BHĪ NAHĪÑ CHĀHTĀ HAI
KAHĀÑ TŪ ‘ḲHUMĀR’ AUR KAHĀÑ KUFR TAUBA
TUJHE PĀRSĀOÑ NE BAHKĀ DIYĀ HAI