वो सिवा याद आए भुलाने के बा’द
ज़िंदगी बढ़ गई ज़हर खाने के बा’द
दिल सुलगता रहा आशियाने के बा’द
आग ठंडी हुई इक ज़माने के बा’द
रौशनी के लिए दिल जलाना पड़ा
ऐसी ज़ुल्मत बढ़ी तेरे जाने के बा’द
जब न कुछ बन पड़ा अर्ज़-ए-ग़म का जवाब
वो ख़फ़ा हो गए मुस्कुराने के बा’द
दुश्मनों से पशेमान होना पड़ा
दोस्तों का ख़ुलूस आज़माने के बा’द
रंज हद से गुज़र के ख़ुशी बन गया
हो गए पार हम डूब जाने के बा’द
बख़्श दे या रब अहल-ए-हवस को बहिश्त
मुझ को क्या चाहिए तुझ को पाने के बा’द
कैसे कैसे गिले याद आए ‘ख़ुमार’
उन के आने से क़ब्ल उन के जाने के बा’द
VO SIVĀ YAAD AA.E BHULĀNE KE BA.AD
ZINDAGĪ BAḌH GA.Ī ZAHR KHĀNE KE BA.AD
DIL SULAGTĀ RAHĀ ĀSHIYĀNE KE BA.AD
AAG THANDĪ HUĪ IK ZAMĀNE KE BA.AD
RAUSHNĪ KE LIYE DIL JALĀNĀ PAḌĀ
AISĪ ZULMAT BAḌHĪ TERE JAANE KE BA.AD
JAB NA KUCHH BAN PAḌĀ ARZ-E-ĠHAM KĀ JAVĀB
VO ḲHAFĀ HO GA.E MUSKURĀNE KE BA.AD
DUSHMANOÑ SE PASHEMĀN HONĀ PAḌĀ
DOSTOÑ KĀ ḲHULŪS ĀZMĀNE KE BA.AD
RAÑJ HAD SE GUZAR KE ḲHUSHĪ BAN GAYĀ
HO GA.E PAAR HAM DUUB JAANE KE BA.AD
BAḲHSH DE YĀ RAB AHL-E-HAVAS KO BAHISHT
MUJH KO KYĀ CHĀHIYE TUJH KO PAANE KE BA.AD
KAISE KAISE GILE YAAD AA.E ‘ḲHUMĀR’
UN KE AANE SE QABL UN KE JAANE KE BA.AD