वो जो था वो कभी मिला ही नहीं
सो गरेबाँ कभी सिला ही नहीं
उस से हर दम मोआ’मला है मगर
दरमियाँ कोई सिलसिला ही नहीं
बे-मिले ही बिछड़ गए हम तो
सौ गिले हैं कोई गिला ही नहीं
चश्म-ए-मयगूँ से है मुग़ाँ ने कहा
मस्त कर दे मगर पिला ही नहीं
तू जो है जान तू जो है जानाँ
तू हमें आज तक मिला ही नहीं
मस्त हूँ मैं महक से उस गुल की
जो किसी बाग़ में खिला ही नहीं
हाए ‘जौन’ उस का वो पियाला-ए-नाफ़
जाम ऐसा कोई मिला ही नहीं
तू है इक उम्र से फ़ुग़ाँ-पेशा
अभी सीना तिरा छिला ही नहीं
vo jo thā vo kabhī milā hī nahīñ
so garebāñ kabhī silā hī nahīñ
us se har dam mo.āmla hai magar
darmiyāñ koī silsila hī nahīñ
be-mile hī bichhaḌ ga.e ham to
sau gile haiñ koī gila hī nahīñ
chashm-e-maigūñ se hai muġhāñ ne kahā
mast kar de magar pilā hī nahīñ
tū jo hai jaan tū jo hai jānāñ
tū hameñ aaj tak milā hī nahīñ
mast huuñ maiñ mahak se us gul kī
jo kisī baaġh meñ khilā hī nahīñ
haa.e ‘jaun’ us kā vo piyāla-e-nāf
jaam aisā koī milā hī nahīñ
tū hai ik umr se fuġhāñ-pesha
abhī siina tirā chhilā hī nahīñ