उस ने हम को गुमान में रक्खा
और फिर कम ही ध्यान में रक्खा
क्या क़यामत-नुमू थी वो जिस ने
हश्र उस की उठान में रक्खा
जोशिश-ए-ख़ूँ ने अपने फ़न का हिसाब
एक चुप इक चटान में रक्खा
लम्हे लम्हे की अपनी थी इक शान
तू ने ही एक शान में रक्खा
हम ने पैहम क़ुबूल-ओ-रद कर के
उस को एक इम्तिहान में रक्खा
तुम तो उस याद की अमान में हो
उस को किस की अमान में रक्खा
अपना रिश्ता ज़मीं से ही रक्खो
कुछ नहीं आसमान में रक्खा
us ne ham ko gumān meñ rakkhā
aur phir kam hī dhyān meñ rakkhā
kyā qayāmat-numū thī vo jis ne
hashr us kī uThān meñ rakkhā
joshish-e-ḳhūñ ne apne fan kā hisāb
ek chup ik chaTān meñ rakkhā
lamhe lamhe kī apnī thī ik shaan
tū ne hī ek shaan meñ rakkhā
ham ne paiham qubūl-o-rad kar ke
us ko ek imtihān meñ rakkhā
tum to us yaad kī amaan meñ ho
us ko kis kī amaan meñ rakkhā
apnā rishta zamīñ se hī rakkho
kuchh nahīñ āsmān meñ rakkhā