तिश्नगी ने सराब ही लिक्खा
ख़्वाब देखा था ख़्वाब ही लिक्खा
हम ने लिक्खा निसाब-ए-तीरा-शबी
और ब-सद आब-ओ-ताब ही लिक्खा
मुंशियान-ए-शुहूद ने ता-हाल
ज़िक्र-ए-ग़ैब-ओ-हिजाब ही लिक्खा
न रखा हम ने बेश-ओ-कम का ख़याल
शौक़ को बे-हिसाब ही लिक्खा
दोस्तो हम ने अपना हाल उसे
जब भी लिक्खा ख़राब ही लिक्खा
न लिखा उस ने कोई भी मक्तूब
फिर भी हम ने जवाब ही लिक्खा
हम ने इस शहर-ए-दीन-ओ-दौलत में
मस्ख़रों को जनाब ही लिक्खा
tishnagī ne sarāb hī likkhā
ḳhvāb dekhā thā ḳhvāb hī likkhā
ham ne likkhā nisāb-e-tīra-shabī
aur ba-sad āb-o-tāb hī likkhā
munshiyān-e-shuhūd ne tā-hāl
zikr-e-ġhaib-o-hijāb hī likkhā
na rakhā ham ne besh-o-kam kā ḳhayāl
shauq ko be-hisāb hī likkhā
dosto ham ne apnā haal use
jab bhī likkhā ḳharāb hī likkhā
na likhā us ne koī bhī maktūb
phir bhī ham ne javāb hī likkhā
ham ne is shahr-e-dīn-o-daulat meñ
masḳharoñ ko janāb hī likkhā