तिरे दर से उठ कर जिधर जाऊँ मैं
चलूँ दो क़दम और ठहर जाऊँ मैं
सँभाले तो हूँ ख़ुद को तुझ बिन मगर
जो छू ले कोई तो बिखर जाऊँ मैं
अगर तू ख़फ़ा हो तो पर्वा नहीं
तिरा ग़म ख़फ़ा हो तो मर जाऊँ मैं
तबस्सुम ने इतना डसा है मुझे
कली मुस्कुराए तो डर जाऊँ मैं
मिरा घर फ़सादात में जल चुका
वतन जाऊँ तो किस के घर जाऊँ मैं
‘ख़ुमार’ उन से तर्क-ए-तअ’ल्लुक़ बजा
मगर जीते-जी कैसे मर जाऊँ मैं
TIRE DAR SE UTH KAR JIDHAR JĀ.ŪÑ MAIÑ
CHALŪÑ DO QADAM AUR THAHAR JĀ.ŪÑ MAIÑ
SAMBHĀLE TO HUUÑ ḲHUD KO TUJH BIN MAGAR
JO CHHŪ LE KOĪ TO BIKHAR JĀ.ŪÑ MAIÑ
AGAR TŪ ḲHAFĀ HO TO PARVĀ NAHĪÑ
TIRĀ ĠHAM ḲHAFĀ HO TO MAR JĀ.ŪÑ MAIÑ
TABASSUM NE ITNĀ DASĀ HAI MUJHE
KALĪ MUSKURĀ.E TO DAR JĀ.ŪÑ MAIÑ
MIRĀ GHAR FASĀDĀT MEÑ JAL CHUKĀ
VATAN JĀ.ŪÑ TO KIS KE GHAR JĀ.ŪÑ MAIÑ
‘ḲHUMĀR’ UN SE TARK-E-TA.ALLUQ BAJĀ
MAGAR JĪTE-JĪ KAISE MAR JĀ.ŪÑ MAIÑ