- Advertisement -
सुनसान रास्तों से सवारी न आएगी
अब धूल से अटी हुई लारी न आएगी
छप्पर के चाए-ख़ाने भी अब ऊँघने लगे
पैदल चलो कि कोई सवारी न आएगी
तहरीर ओ गुफ़्तुगू में किसे ढूँडते हैं लोग
तस्वीर में भी शक्ल हमारी न आएगी
सर पर ज़मीन ले के हवाओं के साथ जा
आहिस्ता चलने वाले की बारी न आएगी
पहचान अपनी हम ने मिटाई है इस तरह
बच्चों में कोई बात हमारी न आएगी
Sunsan Raston Se Savari Na Aaegi
ab dhuul se aTī huī laarī na aa.egī
chhappar ke chā.e-ḳhāne bhī ab ūñghne lage
paidal chalo ki koī savārī na aa.egī
tahrīr o guftugū meñ kise DhūñDte haiñ log
tasvīr meñ bhī shakl hamārī na aa.egī
sar par zamīn le ke havāoñ ke saath jā
āhista chalne vaale kī baarī na aa.egī
pahchān apnī ham ne miTā.ī hai is tarah
bachchoñ meñ koī baat hamārī na aa.egī