Ghazal in Hindi
शहर क्या देखें कि हर मंज़र में जाले पड़ गए
ऐसी गर्मी है कि पीले फूल काले पड़ गए
मैं अँधेरों से बचा लाया था अपने-आप को
मेरा दुख ये है मिरे पीछे उजाले पड़ गए
जिन ज़मीनों के क़बाले हैं मिरे पुरखों के नाम
उन ज़मीनों पर मिरे जीने के लाले पड़ गए
ताक़ में बैठा हुआ बूढ़ा कबूतर रो दिया
जिस में डेरा था उसी मस्जिद में ताले पड़ गए
कोई वारिस हो तो आए और आ कर देख ले
ज़िल्ल-ए-सुब्हानी की ऊँची छत में जाले पड़ गए
shahr kyā dekheñ ki har manzar meñ jaale paḌ ga.e
aisī garmī hai ki piile phuul kaale paḌ ga.e
maiñ añdheroñ se bachā laayā thā apne-āp ko
merā dukh ye hai mire pīchhe ujāle paḌ ga.e
jin zamīnoñ ke qabāle haiñ mire purkhoñ ke naam
un zamīnoñ par mire jiine ke laale paḌ ga.e
taaq meñ baiThā huā būḌhā kabūtar ro diyā
jis meñ Derā thā usī masjid meñ taale paḌ ga.e
koī vāris ho to aa.e aur aa kar dekh le
zill-e-sub.hānī kī ūñchī chhat meñ jaale paḌ ga.e