26.1 C
Delhi
Sunday, September 8, 2024

Buy now

Adsspot_img

Shaam Ne Jab Palkon Pe Atish Dan Liya by Rahat Indori

- Advertisement -

Ghazal in Hindi
शाम ने जब पलकों पे आतिश-दान लिया

कुछ यादों ने चुटकी में लोबान लिया

दरवाज़ों ने अपनी आँखें नम कर लीं

दीवारों ने अपना सीना तान लिया

प्यास तो अपनी सात समुंदर जैसी थी

नाहक़ हम ने बारिश का एहसान लिया

मैं ने तलवों से बाँधी थी छाँव मगर

शायद मुझ को सूरज ने पहचान लिया

कितने सुख से धरती ओढ़ के सोए हैं

हम ने अपनी माँ का कहना मान लिया

Ghazal in English

shaam ne jab palkoñ pe ātish-dān liyā

kuchh yādoñ ne chuTkī meñ lobān liyā

darvāzoñ ne apnī āñkheñ nam kar liiñ

dīvāroñ ne apnā siina taan liyā

pyaas to apnī saat samundar jaisī thī

nāhaq ham ne bārish kā ehsān liyā

maiñ ne talvoñ se bāñdhī thī chhāñv magar

shāyad mujh ko sūraj ne pahchān liyā

kitne sukh se dhartī oḌh ke so.e haiñ

ham ne apnī maañ kā kahnā maan liyā

Related Articles

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Stay Connected

0FansLike
3,912FollowersFollow
14,700SubscribersSubscribe
- Advertisement -spot_img

Latest Articles