Ghazal in Hindi
साथ मंज़िल थी मगर ख़ौफ़-ओ-ख़तर ऐसा था
उम्र-भर चलते रहे लोग सफ़र ऐसा था
जब वो आए तो मैं ख़ुश भी हुआ शर्मिंदा भी
मेरी तक़दीर थी ऐसी मिरा घर ऐसा था
हिफ़्ज़ थीं मुझ को भी चेहरों की किताबें क्या क्या
दिल शिकस्ता था मगर तेज़ नज़र ऐसा था
आग ओढ़े था मगर बाँट रहा था साया
धूप के शहर में इक तन्हा शजर ऐसा था
लोग ख़ुद अपने चराग़ों को बुझा कर सोए
शहर में तेज़ हवाओं का असर ऐसा था
saath manzil thī magar ḳhauf-o-ḳhatar aisā thā
umr-bhar chalte rahe log safar aisā thā
jab vo aa.e to maiñ ḳhush bhī huā sharminda bhī
merī taqdīr thī aisī mirā ghar aisā thā
hifz thiiñ mujh ko bhī chehroñ kī kitābeñ kyā kyā
dil shikasta thā magar tez nazar aisā thā
aag oḌhe thā magar baañT rahā thā saaya
dhuup ke shahr meñ ik tanhā shajar aisā thā
log ḳhud apne charāġhoñ ko bujhā kar so.e
shahr meñ tez havāoñ kā asar aisā thā