सारे रिश्ते तबाह कर आया
दिल-ए-बर्बाद अपने घर आया
आख़िरश ख़ून थूकने से मियाँ
बात में तेरी क्या असर आया
था ख़बर में ज़ियाँ दिल ओ जाँ का
हर तरफ़ से मैं बे-ख़बर आया
अब यहाँ होश में कभी अपने
नहीं आऊँगा मैं अगर आया
मैं रहा उम्र भर जुदा ख़ुद से
याद मैं ख़ुद को उम्र भर आया
वो जो दिल नाम का था एक नफ़र
आज मैं इस से भी मुकर आया
मुद्दतों बा’द घर गया था मैं
जाते ही मैं वहाँ से डर आया
saare rishte tabāh kar aayā
dil-e-barbād apne ghar aayā
āḳhirash ḳhuun thūkne se miyāñ
baat meñ terī kyā asar aayā
thā ḳhabar meñ ziyāñ dil o jaañ kā
har taraf se maiñ be-ḳhabar aayā
ab yahāñ hosh meñ kabhī apne
nahīñ ā.ūñgā maiñ agar aayā
maiñ rahā umr bhar judā ḳhud se
yaad maiñ ḳhud ko umr bhar aayā
vo jo dil naam kā thā ek nafar
aaj maiñ is se bhī mukar aayā
muddatoñ ba.ad ghar gayā thā maiñ
jaate hī maiñ vahāñ se Dar aayā