- Advertisement -
नहीं निबाही ख़ुशी से ग़मी को छोड़ दिया
तुम्हारे बा’द भी मैं ने कई को छोड़ दिया
हों जो भी जान की जाँ वो गुमान होते हैं
सभी थे जान की जाँ और सभी को छोड़ दिया
शुऊ’र एक शुऊ’र-ए-फ़रेब है सो तो है
ग़रज़ कि आगही ना-आगही को छोड़ दिया
ख़याल-ओ-ख़्वाब की अंदेशगी के सुख झेले
ख़याल-ओ-ख़्वाब की अंदेशगी को छोड़ दिया
nahīñ nibāhī ḳhushī se ġhamī ko chhoḌ diyā
tumhāre ba.ad bhī maiñ ne ka.ī ko chhoḌ diyā
hoñ jo bhī jaan kī jaañ vo gumān hote haiñ
sabhī the jaan kī jaañ aur sabhī ko chhoḌ diyā
shu.ūr ek shu.ūr-e-fareb hai so to hai
ġharaz ki āgahī nā-āgahī ko chhoḌ diyā
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī andeshgī ke sukh jhele
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī andeshgī ko chhoḌ diyā