- Advertisement -
Ghazal in Hindi
नए सफ़र का जो एलान भी नहीं होता
तो ज़िंदा रहने का अरमान भी नहीं होता
तमाम फूल वही लोग तोड़ लेते हैं
वो जिन के कमरों में गुल-दान भी नहीं होता
ख़मोशी ओढ़ के सोई हैं मस्जिदें सारी
किसी की मौत का एलान भी नहीं होता
वबा ने काश हमें भी बुला लिया होता
तो हम पे मौत का एहसान भी नहीं होता
na.e safar kā jo elaan bhī nahīñ hotā
to zinda rahne kā armān bhī nahīñ hotā
tamām phuul vahī log toḌ lete haiñ
vo jin ke kamroñ meñ gul-dān bhī nahīñ hotā
ḳhamoshī oḌh ke soī haiñ masjideñ saarī
kisī kī maut kā elaan bhī nahīñ hotā
vabā ne kaash hameñ bhī bulā liyā hotā
to ham pe maut kā ehsān bhī nahīñ hotā