न तो दिल का न जाँ का दफ़्तर है
ज़िंदगी इक ज़ियाँ का दफ़्तर है
पढ़ रहा हूँ मैं काग़ज़ात-ए-वजूद
और नहीं और हाँ का दफ़्तर है
कोई सोचे तो सोज़-ए-कर्ब-ए-जाँ
सारा दफ़्तर गुमाँ का दफ़्तर है
हम में से कोई तो करे इसरार
कि ज़मीं आसमाँ का दफ़्तर है
हिज्र ता’तील-ए-जिस्म-ओ-जाँ है मियाँ
वस्ल जिस्म और जाँ का दफ़्तर है
वो जो दफ़्तर है आसमानी-तर
वो मियाँ जी यहाँ का दफ़्तर है
है जो बूद-ओ-नबूद का दफ़्तर
आख़िरश ये कहाँ का दफ़्तर है
जो हक़ीक़त है दम-ब-दम की याद
वो तो इक दास्ताँ का दफ़्तर है
हो रहा है गुज़िश्तगाँ का हिसाब
और आइंदगाँ का दफ़्तर है
na to dil kā na jaañ kā daftar hai
zindagī ik ziyāñ kā daftar hai
paḌh rahā huuñ maiñ kāġhzāt-e-vajūd
aur nahīñ aur haañ kā daftar hai
koī soche to soz-e-karb-e-jāñ
saarā daftar gumāñ kā daftar hai
ham meñ se koī to kare isrār
ki zamīñ āsmāñ kā daftar hai
hijr ta.atīl-e-jism-o-jāñ hai miyāñ
vasl jism aur jaañ kā daftar hai
vo jo daftar hai āsmānī-tar
vo miyāñ jī yahāñ kā daftar hai
hai jo būd-o-nabūd kā daftar
āḳhirash ye kahāñ kā daftar hai
jo haqīqat hai dam-ba-dam kī yaad
vo to ik dāstāñ kā daftar hai
ho rahā hai guzishtagāñ kā hisāb
aur ā.indagāñ kā daftar hai