न हारा है इश्क और न दुनिया थकी है
दिया जल रहा है हवा चल रही है
सुकू ही सुकू है खुशी ही खुशी है
तेरा गम सलामत मुझे क्या कमी है
वो मौज़ूद है और उनकी कमी है
मुहब्बत भी तहाई-ए-दायमी है
खटक गुदगुदगी का मज़ा दे रही है
जिसे इश्क कहते है शायद यही है
चारागो के बदले मकान जल रहे है
नया है ज़माना नई रोशनी है
जफ़ाओ पे घुट-घुट के चुप रहने वालो
खामोशी जफ़ाओ की ताईद भी है
मेरे राह पर मुझको गुमराह कर दे
सुना है कि मंज़िल करीब आ गई है
ख़ुमार-ए-बलानौश तू और तौबा
तुझे ज़ाहिदो की नज़र लग गई है
NA HAARĀ HAI ISHQ AUR NA DUNIYĀ THAKĪ HAI
DIYĀ JAL RAHĀ HAI HAVĀ CHAL RAHĪ HAI
SUKŪÑ HĪ SUKŪÑ HAI ḲHUSHĪ HĪ ḲHUSHĪ HAI
TIRĀ ĠHAM SALĀMAT MUJHE KYĀ KAMĪ HAI
KHATAK GUDGUDĪ KĀ MAZĀ DE RAHĪ HAI
JISE ISHQ KAHTE HAIÑ SHĀYAD YAHĪ HAI
VO MAUJŪD HAIÑ AUR UN KĪ KAMĪ HAI
MOHABBAT BHĪ TANHĀ.Ī-E-DĀ.IMĪ HAI
CHARĀĠHOÑ KE BADLE MAKĀÑ JAL RAHE HAIÑ
NAYĀ HAI ZAMĀNA NA.Ī RAUSHNĪ HAI
ARE O JAFĀOÑ PE CHUP RAHNE VAALO
ḲHAMOSHĪ JAFĀOÑ KĪ TĀ.ĪD BHĪ HAI
MIRE RĀHBAR MUJH KO GUMRĀH KAR DE
SUNĀ HAI KI MANZIL QARĪB AA GA.Ī HAI
‘ḲHUMĀR’-E-BALĀ-NOSH TŪ AUR TAUBA
TUJHE ZĀHIDOÑ KĪ NAZAR LAG GA.Ī HAI