मुझ को तो गिर के मरना है
बाक़ी को क्या करना है
शहर है चेहरों की तमसील
सब का रंग उतरना है
वक़्त है वो नाटक जिस में
सब को डरा कर डरना है
मेरे नक़्श-ए-सानी को
मुझ में ही से उभरना है
कैसी तलाफ़ी क्या तदबीर
करना है और भरना है
जो नहीं गुज़रा है अब तक
वो लम्हा तो गुज़रना है
अपने गुमाँ का रंग था मैं
अब ये रंग बिखरना है
हम दो पाए हैं सो हमें
मेज़ पे जा कर चरना है
चाहे हम कुछ भी कर लें
हम ऐसों को सुधरना है
हम तुम हैं इक लम्हे के
फिर भी वा’दा करना है
mujh ko to gir ke marnā hai
baaqī ko kyā karnā hai
shahr hai chehroñ kī tamsīl
sab kā rañg utarnā hai
vaqt hai vo nāTak jis meñ
sab ko Darā kar Darnā hai
mere naqsh-e-sānī ko
mujh meñ hī se ubharnā hai
kaisī talāfī kyā tadbīr
karnā hai aur bharnā hai
jo nahīñ guzrā hai ab tak
vo lamha to guzarnā hai
apne gumāñ kā rañg thā maiñ
ab ye rañg bikharnā hai
ham do paa.e haiñ so hameñ
mez pe jā kar charnā hai
chāhe ham kuchh bhī kar leñ
ham aisoñ ko sudharnā hai
ham tum haiñ ik lamhe ke
phir bhī va.ada karnā hai