- Advertisement -
घरों पे नाम थे नामों के साथ ओहदे थे
बहुत तलाश किया कोई आदमी न मिला
तमाम रिश्तों को मैं घर पे छोड़ आया था
फिर उस के बा’द मुझे कोई अजनबी न मिला
ख़ुदा की इतनी बड़ी काएनात में मैं ने
बस एक शख़्स को माँगा मुझे वही न मिला
mohabbatoñ meñ dikhāve kī dostī na milā
agar gale nahīñ miltā to haath bhī na milā
gharoñ pe naam the nāmoñ ke saath ohde the
bahut talāsh kiyā koī aadmī na milā
tamām rishtoñ ko maiñ ghar pe chhoḌ aayā thā
phir us ke ba.ad mujhe koī ajnabī na milā
ḳhudā kī itnī baḌī kā.enāt meñ maiñ ne
bas ek shaḳhs ko māñgā mujhe vahī na milā
bahut ajiib hai ye qurbatoñ kī duurī bhī
vo mere saath rahā aur mujhe kabhī na milā