- Advertisement -
दुखों का बोझ अकेले नहीं सँभलता है
कहीं वो मिलता तो उस से लिपट के रो लेते
अगर सफ़र में हमारा भी हम-सफ़र होता
बड़ी ख़ुशी से उन्ही पत्थरों पे सो लेते
तुम्हारी राह में शाख़ों पे फूल सूख गए
कभी हवा की तरह इस तरफ़ भी हो लेते
ये क्या कि रोज़ वही चाँदनी का बिस्तर हो
कभी तो धूप की चादर बिछा के सो लेते
kisī kī yaad meñ palkeñ zarā bhigo lete
udaas raat kī tanhā.iyoñ meñ ro lete
dukhoñ kā bojh akele nahīñ sambhaltā hai
kahīñ vo miltā to us se lipaT ke ro lete
agar safar meñ hamārā bhī ham-safar hotā
baḌī ḳhushī se unhī pattharoñ pe so lete
tumhārī raah meñ shāḳhoñ pe phuul suukh ga.e
kabhī havā kī tarah is taraf bhī ho lete
ye kyā ki roz vahī chāñdnī kā bistar ho
kabhī to dhuup kī chādar bichhā ke so lete