किस से इज़हार-ए-मुद्दआ कीजे
आप मिलते नहीं हैं क्या कीजे
हो न पाया ये फ़ैसला अब तक
आप कीजे तो क्या किया कीजे
आप थे जिस के चारा-गर वो जवाँ
सख़्त बीमार है दुआ कीजे
एक ही फ़न तो हम ने सीखा है
जिस से मिलिए उसे ख़फ़ा कीजे
है तक़ाज़ा मिरी तबीअ’त का
हर किसी को चराग़-पा कीजे
है तो बारे ये आलम-ए-असबाब
बे-सबब चीख़ने लगा कीजे
आज हम क्या गिला करें उस से
गिला-ए-तंगी-ए-क़बा कीजे
नुत्क़ हैवान पर गराँ है अभी
गुफ़्तुगू कम से कम किया कीजे
हज़रत-ए-ज़ुल्फ़-ए-ग़ालिया-अफ़्शाँ
नाम अपना सबा सबा कीजे
ज़िंदगी का अजब मोआ’मला है
एक लम्हे में फ़ैसला कीजे
मुझ को आदत है रूठ जाने की
आप मुझ को मना लिया कीजे
मिलते रहिए इसी तपाक के साथ
बेवफ़ाई की इंतिहा कीजे
कोहकन को है ख़ुद-कुशी ख़्वाहिश
शाह-बानो से इल्तिजा कीजे
मुझ से कहती थीं वो शराब आँखें
आप वो ज़हर मत पिया कीजे
रंग हर रंग में है दाद-तलब
ख़ून थूकूँ तो वाह-वा कीजे
kis se iz.hār-e-mudda.ā kiije
aap milte nahīñ haiñ kyā kiije
ho na paayā ye faisla ab tak
aap kiije to kyā kiyā kiije
aap the jis ke chāra-gar vo javāñ
saḳht bīmār hai duā kiije
ek hī fan to ham ne sīkhā hai
jis se miliye use ḳhafā kiije
hai taqāzā mirī tabī.at kā
har kisī ko charāġh-pā kiije
hai to baare ye ālam-e-asbāb
be-sabab chīḳhne lagā kiije
aaj ham kyā gila kareñ us se
gila-e-tañgī-e-qabā kiije
nutq haivān par garāñ hai abhī
guftugū kam se kam kiyā kiije
hazrat-e-zulf-e-ġhāliya-afshāñ
naam apnā sabā sabā kiije
zindagī kā ajab mo.āmla hai
ek lamhe meñ faisla kiije
mujh ko aadat hai ruuTh jaane kī
aap mujh ko manā liyā kiije
milte rahiye isī tapāk ke saath
bevafā.ī kī intihā kiije
kohkan ko hai ḳhud-kushī ḳhvāhish
shāh-bāno se iltijā kiije
mujh se kahtī thiiñ vo sharāb āñkheñ
aap vo zahar mat piyā kiije
rañg har rañg meñ hai dād-talab
ḳhuun thūkūñ to vāh-vā kiije