- Advertisement -
सिंगार-दान में रहते हो आइने की तरह
किसी के हाथ से गिर कर बिखर गए होते
ग़ज़ल ने बहते हुए फूल चुन लिए वर्ना
ग़मों में डूब कर हम लोग मर गए होते
अजीब रात थी कल तुम भी आ के लौट गए
जब आ गए थे तो पल भर ठहर गए होते
kabhī to shaam Dhale apne ghar ga.e hote
Kabhi To Shaam Dhale Apne Ghar Gae Hote
kisī kī aañkh meñ rah kar sañvar ga.e hote
siñgār-dān meñ rahte ho aa.ine kī tarah
kisī ke haath se gir kar bikhar ga.e hote
ġhazal ne bahte hue phuul chun liye varna
ġhamoñ meñ Duub kar ham log mar ga.e hote
ajiib raat thī kal tum bhī aa ke lauT ga.e
jab aa ga.e the to pal bhar Thahar ga.e hote
bahut dinoñ se hai dil apnā ḳhālī ḳhālī sā
ḳhushī nahīñ to udāsī se bhar ga.e hote