जुज़ गुमाँ और था ही क्या मेरा
फ़क़त इक मेरा नाम था मेरा
निकहत-ए-पैरहन से उस गुल की
सिलसिला बे-सबा रहा मेरा
मुझ को ख़्वाहिश ही ढूँडने की न थी
मुझ में खोया रहा ख़ुदा मेरा
थूक दे ख़ून जान ले वो अगर
आलम-ए-तर्क-ए-मुद्दआ मेरा
जब तुझे मेरी चाह थी जानाँ
बस वही वक़्त था कड़ा मेरा
कोई मुझ तक पहुँच नहीं पाता
इतना आसान है पता मेरा
आ चुका पेश वो मुरव्वत से
अब चलूँ काम हो चुका मेरा
आज मैं ख़ुद से हो गया मायूस
आज इक यार मर गया मेरा
juz gumāñ aur thā hī kyā merā
faqat ik merā naam thā merā
nik.hat-e-pairahan se us gul kī
silsila be-sabā rahā merā
mujh ko ḳhvāhish hī DhūñDne kī na thī
mujh meñ khoyā rahā ḳhudā merā
thuuk de ḳhuun jaan le vo agar
ālam-e-tark-e-mudda.ā merā
jab tujhe merī chaah thī jānāñ
bas vahī vaqt thā kaḌā merā
koī mujh tak pahuñch nahīñ paatā
itnā āsān hai patā merā
aa chukā pesh vo muravvat se
ab chalūñ kaam ho chukā merā
aaj maiñ ḳhud se ho gayā māyūs
aaj ik yaar mar gayā merā