Ghazal in Hindi
जो मंसबों के पुजारी पहन के आते हैं
कुलाह तौक़ से भारी पहन के आते हैं
अमीर-ए-शहर तिरी तरह क़ीमती पोशाक
मिरी गली में भिकारी पहन के आते हैं
यही अक़ीक़ थे शाहों के ताज की ज़ीनत
जो उँगलियों में मदारी पहन के आते हैं
हमारे जिस्म के दाग़ों पे तब्सिरा करने
क़मीसें लोग हमारी पहन के आते हैं
इबादतों का तहफ़्फ़ुज़ भी उन के ज़िम्मे है
जो मस्जिदों में सफ़ारी पहन के आते हैं
jo mansaboñ ke pujārī pahan ke aate haiñ
kulāh tauq se bhārī pahan ke aate haiñ
amīr-e-shahr tirī tarah qīmtī poshāk
mirī galī meñ bhikārī pahan ke aate haiñ
yahī aqiiq the shāhoñ ke taaj kī zīnat
jo uñgliyoñ meñ madārī pahan ke aate haiñ
hamāre jism ke dāġhoñ pe tabsira karne
qamīseñ log hamārī pahan ke aate haiñ
ibādatoñ kā tahaffuz bhī un ke zimme hai
jo masjidoñ meñ safari pahan ke aate haiñ