- Advertisement -
जब सहर चुप हो हँसा लो हम को
जब अँधेरा हो जला लो हम को
हम हक़ीक़त हैं नज़र आते हैं
दास्तानों में छुपा लो हम को
ख़ून का काम रवाँ रहना है
जिस जगह चाहो बहा लो हम को
दिन न पा जाए कहीं शब का राज़
सुब्ह से पहले उठा लो हम को
हम ज़माने के सताए हैं बहुत
अपने सीने से लगा लो हम को
वक़्त के होंट हमें छू लेंगे
अन-कहे बोल हैं गा लो हम को
jab sahar chup ho hañsā lo ham ko
jab añdherā ho jalā lo ham ko
ham haqīqat haiñ nazar aate haiñ
dāstānoñ meñ chhupā lo ham ko
ḳhuun kā kaam ravāñ rahnā hai
jis jagah chāho bahā lo ham ko
din na pā jaa.e kahīñ shab kā raaz
subah se pahle uThā lo ham ko
ham zamāne ke satā.e haiñ bahut
apne siine se lagā lo ham ko
vaqt ke hoñT hameñ chhū leñge
an-kahe bol haiñ gā lo ham ko