जाने कहाँ गया है वो वो जो अभी यहाँ था
वो जो अभी यहाँ था वो कौन था कहाँ था
ता-लम्हा-ए-गुज़िश्ता ये जिस्म और साए
ज़िंदा थे राएगाँ में जो कुछ था राएगाँ था
अब जिस की दीद का है सौदा हमारे सर में
वो अपनी ही नज़र में अपना ही इक समाँ था
क्या क्या न ख़ून थूका मैं उस गली में यारो
सच जानना वहाँ तो जो फ़न था राएगाँ था
ये वार कर गया है पहलू से कौन मुझ पर
था मैं ही दाएँ बाएँ और मैं ही दरमियाँ था
उस शहर की हिफ़ाज़त करनी थी हम को जिस में
आँधी की थीं फ़सीलें और गर्द का मकाँ था
थी इक अजब फ़ज़ा सी इमकान-ए-ख़ाल-ओ-ख़द की
था इक अजब मुसव्विर और वो मिरा गुमाँ था
उम्रें गुज़र गई थीं हम को यक़ीं से बिछड़े
और लम्हा इक गुमाँ का सदियों में बे-अमाँ था
जब डूबता चला मैं तारीकियों की तह में
तह में था इक दरीचा और उस में आसमाँ था
jaane kahāñ gayā hai vo vo jo abhī yahāñ thā
vo jo abhī yahāñ thā vo kaun thā kahāñ thā
tā-lamha-e-guzishtā ye jism aur saa.e
zinda the rā.egāñ meñ jo kuchh thā rā.egāñ thā
ab jis kī diid kā hai saudā hamāre sar meñ
vo apnī hī nazar meñ apnā hī ik samāñ thā
kyā kyā na ḳhuun thūkā maiñ us galī meñ yaaro
sach jānñā vahāñ to jo fan thā rā.egāñ thā
ye vaar kar gayā hai pahlū se kaun mujh par
thā maiñ hī daa.eñ baa.eñ aur maiñ hī darmiyāñ thā
us shahr kī hifāzat karnī thī ham ko jis meñ
āñdhī kī thiiñ fasīleñ aur gard kā makāñ thā
thī ik ajab fazā sī imkān-e-ḳhāl-o-ḳhad kī
thā ik ajab musavvir aur vo mirā gumāñ thā
umreñ guzar ga.ī thiiñ ham ko yaqīñ se bichhḌe
aur lamha ik gumāñ kā sadiyoñ meñ be-amāñ thā
jab Dūbtā chalā maiñ tārīkiyoñ kī tah meñ
tah meñ thā ik darīcha aur us meñ āsmāñ thā