इक साया मिरा मसीहा था
कौन जाने वो कौन था क्या था
वो फ़क़त सहन तक ही आती थी
मैं भी हुजरे से कम निकलता था
तुझ को भूला नहीं वो शख़्स कि जो
तेरी बाँहों में भी अकेला था
जान-लेवा थीं ख़्वाहिशें वर्ना
वस्ल से इंतिज़ार अच्छा था
बात तो दिल-शिकन है पर यारो
अक़्ल सच्ची थी इश्क़ झूटा था
अपने मेआ’र तक न पहुँचा मैं
मुझ को ख़ुद पर बड़ा भरोसा था
जिस्म की साफ़-गोई के बा-वस्फ़
रूह ने कितना झूट बोला था
ik saaya mirā masīhā thā
kaun jaane vo kaun thā kyā thā
vo faqat sahn tak hī aatī thī
maiñ bhī hujre se kam nikaltā thā
tujh ko bhūlā nahīñ vo shaḳhs ki jo
terī bāñhoñ meñ bhī akelā thā
jān-levā thiiñ ḳhvāhisheñ varna
vasl se intizār achchhā thā
baat to dil-shikan hai par yaaro
aql sachchī thī ishq jhūTā thā
apne me.aar tak na pahuñchā maiñ
mujh ko ḳhud par baḌā bharosa thā
jism kī sāf-goī ke bā-vasf
ruuh ne kitnā jhuuT bolā thā