एक पल में एक सदी का मज़ा हमसे पूछिए
दो दिन की ज़िन्दगी का मज़ा हमसे पूछिए

भूले है रफ़्ता-रफ़्ता उन्हे मुद्दतो में हम
किश्तो में ख़ुदकुशी का मज़ा हमसे पूछिए

आग़ाज़-ए-आशिकी का मज़ा आप जानिए
अंजाम-ए-आशिकी का मज़ा हमसे पूछिए

जलते दियो में जलते घरो जैसी लौ कहा
सरकार रोशनी का मज़ा हमसे पूछिए

वो जान ही गये कि हमे उनसे प्यार है
आँखो की मुखबिरी का मज़ा हमसे पूछिए

हँसने का शौक हमको भी था आपकी तरह

Ik pal mein ik sadī ka maza ham se pūchhiye
Do din ki zindagī ka maza ham se pūchhiye
Bhūle haiñ rafta rafta unheñ muddatoñ mein ham
Qistoñ mein ḳhud-kushī ka maza ham se pūchhiye
Āġhāz-e-āshiqī ka maza aap jāniye
Anjām-e-āshiqī ka maza ham se pūchhiye
Jalte diyoñ mein jalte gharoñ jaisī zau kahāñ
Sarkar raushnī ka maza ham se pūchhiye
Vo jaan hī ga.e ki hamein un se pyaar hai
Āñkhoñ ki muḳhbirī ka maza ham se pūchhiye
Hañsne ka shauq ham ko bhī thā aap ki tarah
Hañsiye magar hañsī ka maza ham se pūchhiye
Ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai ‘ḳhumār’
Tauhīn-e-mai-kashī ka maza ham se pūchhiye

1 COMMENT

  1. एक पल में एक सदी का मज़ा हमसे पूछिए
    दो दिन की ज़िन्दगी का मज़ा हमसे पूछिए

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here