15.1 C
Delhi
Thursday, November 21, 2024

Buy now

Adsspot_img

Hijr Kī Āñkhoñ Se Āñkheñ To Milāte Jā.Iye

- Advertisement -

हिज्र की आँखों से आँखें तो मिलाते जाइए

हिज्र में करना है क्या ये तो बताते जाइए

बन के ख़ुश्बू की उदासी रहिए दिल के बाग़ में

दूर होते जाइए नज़दीक आते जाइए

जाते जाते आप इतना काम तो कीजे मिरा

याद का सारा सर-ओ-सामाँ जलाते जाइए

रह गई उम्मीद तो बरबाद हो जाऊँगा मैं

जाइए तो फिर मुझे सच-मुच भुलाते जाइए

ज़िंदगी की अंजुमन का बस यही दस्तूर है

बढ़ के मिलिए और मिल कर दूर जाते जाइए

आख़िरश रिश्ता तो हम में इक ख़ुशी इक ग़म का था

मुस्कुराते जाइए आँसू बहाते जाइए

वो गली है इक शराबी चश्म-ए-काफ़िर की गली

उस गली में जाइए तो लड़खड़ाते जाइए

आप को जब मुझ से शिकवा ही नहीं कोई तो फिर

आग ही दिल में लगानी है लगाते जाइए

कूच है ख़्वाबों से ताबीरों की सम्तों में तो फिर

जाइए पर दम-ब-दम बरबाद जाते जाइए

आप का मेहमान हूँ मैं आप मेरे मेज़बान

सो मुझे ज़हर-ए-मुरव्वत तो पिलाते जाइए

है सर-ए-शब और मिरे घर में नहीं कोई चराग़

आग तो इस घर में जानाना लगाते जाइए

hijr āñkhoñ se āñkheñ to milāte jā.iye

hijr meñ karnā hai kyā ye to batāte jā.iye

ban ke ḳhushbū udāsī rahiye dil ke baaġh meñ

duur hote jā.iye nazdīk aate jā.iye

jaate jaate aap itnā kaam to kiije mirā

yaad saarā sar-o-sāmāñ jalāte jā.iye

rah ga.ī ummīd to barbād ho jā.ūñgā maiñ

jā.iye to phir mujhe sach-much bhulāte jā.iye

zindagī anjuman bas yahī dastūr hai

baḌh ke miliye aur mil kar duur jaate jā.iye

āḳhirash rishta to ham meñ ik ḳhushī ik ġham thā

muskurāte jā.iye aañsū bahāte jā.iye

vo galī hai ik sharābī chashm-e-kāfir galī

us galī meñ jā.iye to laḌkhaḌāte jā.iye

aap ko jab mujh se shikvā nahīñ koī to phir

aag dil meñ lagānī hai lagāte jā.iye

kuuch hai ḳhvāboñ se ta.abīroñ samtoñ meñ to phir

jā.iye par dam-ba-dam barbād jaate jā.iye

aap mehmān huuñ maiñ aap mere mezbān

so mujhe zahr-e-muravvat to pilāte jā.iye

hai sar-e-shab aur mire ghar meñ nahīñ koī charāġh

aag to is ghar meñ jānāna lagāte jā.iye

Related Articles

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Stay Connected

0FansLike
3,912FollowersFollow
14,700SubscribersSubscribe
- Advertisement -spot_img

Latest Articles