कभी तो आसमाँ से चाँद उतरे जाम हो जाए
तुम्हारे नाम की इक ख़ूब-सूरत शाम हो जाए
अजब हालात थे यूँ दिल का सौदा हो गया आख़िर
मोहब्बत की हवेली जिस तरह नीलाम हो जाए
समुंदर के सफ़र में इस तरह आवाज़ दे हम को
हवाएँ तेज़ हों और कश्तियों में शाम हो जाए
मुझे मालूम है उस का ठिकाना फिर कहाँ होगा
परिंदा आसमाँ छूने में जब नाकाम हो जाए
hamara dil savere kā sunahra jaam ho jaae
charāġhoñ kī tarah āñkheñ jaleñ jab shaam ho jaa.e
kabhī to āsmāñ se chāñd utre jaam ho jaa.e
tumhāre naam kī ik ḳhūb-sūrat shaam ho jaa.e
ajab hālāt the yuuñ dil kā saudā ho gayā āḳhir
mohabbat kī havelī jis tarah nīlām ho jaa.e
samundar ke safar meñ is tarah āvāz de ham ko
havā.eñ tez hoñ aur kashtiyoñ meñ shaam ho jaa.e
mujhe mālūm hai us kā Thikānā phir kahāñ hogā
parinda āsmāñ chhūne meñ jab nākām ho jaa.e
ujāle apnī yādoñ ke hamāre saath rahne do
na jaane kis galī meñ zindagī kī shaam ho jaa.e