गाहे गाहे बस अब यही हो क्या
तुम से मिल कर बहुत ख़ुशी हो क्या
मिल रही हो बड़े तपाक के साथ
मुझ को यकसर भुला चुकी हो क्या
याद हैं अब भी अपने ख़्वाब तुम्हें
मुझ से मिल कर उदास भी हो क्या
बस मुझे यूँही इक ख़याल आया
सोचती हो तो सोचती हो क्या
अब मिरी कोई ज़िंदगी ही नहीं
अब भी तुम मेरी ज़िंदगी हो क्या
क्या कहा इश्क़ जावेदानी है!
आख़िरी बार मिल रही हो क्या
हाँ फ़ज़ा याँ की सोई सोई सी है
तो बहुत तेज़ रौशनी हो क्या
मेरे सब तंज़ बे-असर ही रहे
तुम बहुत दूर जा चुकी हो क्या
दिल में अब सोज़-ए-इंतिज़ार नहीं
शम-ए-उम्मीद बुझ गई हो क्या
इस समुंदर पे तिश्ना-काम हूँ मैं
बान तुम अब भी बह रही हो क्या
gaahe gaahe bas ab yahī ho kyā
tum se mil kar bahut ḳhushī ho kyā
mil rahī ho baḌe tapāk ke saath
mujh ko yaksar bhulā chukī ho kyā
yaad haiñ ab bhī apne ḳhvāb tumheñ
mujh se mil kar udaas bhī ho kyā
bas mujhe yūñhī ik ḳhayāl aayā
sochtī ho to sochtī ho kyā
ab mirī koī zindagī hī nahīñ
ab bhī tum merī zindagī ho kyā
kyā kahā ishq jāvedānī hai!
āḳhirī baar mil rahī ho kyā
haañ fazā yaañ kī soī soī sī hai
to bahut tez raushnī ho kyā
mere sab tanz be-asar hī rahe
tum bahut duur jā chukī ho kyā
dil meñ ab soz-e-intizār nahīñ
sham-e-ummīd bujh ga.ī ho kyā
is samundar pe tishna-kām huuñ maiñ
baan tum ab bhī bah rahī ho kyā