- Advertisement -
दिल जो है आग लगा दूँ उस को
और फिर ख़ुद ही हवा दूँ उस को
जो भी है उस को गँवा बैठा है
मैं भला कैसे गँवा दूँ उस को
तुझ गुमाँ पर जो इमारत की थी
सोचता हूँ कि मैं ढा दूँ उस को
जिस्म में आग लगा दूँ उस के
और फिर ख़ुद ही बुझा दूँ उस को
हिज्र की नज़्र तो देनी है उसे
सोचता हूँ कि भुला दूँ उस को
जो नहीं है मिरे दिल की दुनिया
क्यूँ न मैं ‘जौन’ मिटा दूँ उस को
dil jo hai aag lagā duuñ us ko
aur phir ḳhud hī havā duuñ us ko
jo bhī hai us ko gañvā baiThā hai
maiñ bhalā kaise gañvā duuñ us ko
tujh gumāñ par jo imārat kī thī
sochtā huuñ ki maiñ Dhā duuñ us ko
jism meñ aag lagā duuñ us ke
aur phir ḳhud hī bujhā duuñ us ko
hijr kī nazr to denī hai use
sochtā huuñ ki bhulā duuñ us ko
jo nahīñ hai mire dil kī duniyā
kyuuñ na maiñ ‘jaun’ miTā duuñ us ko