- Advertisement -
धुँद छाई हुई है झीलों पर
उड़ रहे हैं परिंद टीलों पर
सब का रुख़ है नशेमनों की तरफ़
बस्तियों की तरफ़ बनों की तरफ़
अपने गुलों को ले के चरवाहे
सरहदी बस्तियों में जा पहुँचे
दिल-ए-नाकाम मैं कहाँ जाऊँ
अजनबी शाम मैं कहाँ जाऊँ
dhuñd chhā.ī huī hai jhīloñ par
uḌ rahe haiñ parind Tīloñ par
sab kā ruḳh hai nashemanoñ kī taraf
bastiyoñ kī taraf banoñ kī taraf
apne guloñ ko le ke charvāhe
sarhadī bastiyoñ meñ jā pahuñche
dil-e-nākām maiñ kahāñ jā.ūñ
ajnabī shaam maiñ kahāñ jā.ūñ