बुलाती है मगर जाने का नईं
वो दुनिया है उधर जाने का नईं
ज़मीं रखना पड़े सर पर तो रक्खो
चलो हो तो ठहर जाने का नईं
है दुनिया छोड़ना मंज़ूर लेकिन
वतन को छोड़ कर जाने का नईं
जनाज़े ही जनाज़े हैं सड़क पर
अभी माहौल मर जाने का नईं
सितारे नोच कर ले जाऊँगा
मैं ख़ाली हाथ घर जाने का नईं
मिरे बेटे किसी से इश्क़ कर
मगर हद से गुज़र जाने का नईं
वो गर्दन नापता है नाप ले
मगर ज़ालिम से डर जाने का नईं
सड़क पर अर्थियाँ ही अर्थियाँ हैं
अभी माहौल मर जाने का नईं
वबा फैली हुई है हर तरफ़
अभी माहौल मर जाने का नईं
bulātī hai magar jaane kā na.iiñ
vo duniyā hai udhar jaane kā na.iiñ
zamīñ rakhnā paḌe sar par to rakkho
chalo ho to Thahar jaane kā na.iiñ
hai duniyā chhoḌnā manzūr lekin
vatan ko chhoḌ kar jaane kā na.iiñ
janāze hī janāze haiñ saḌak par
abhī māhaul mar jaane kā na.iiñ
sitāre noch kar le jā.ūñgā
maiñ ḳhālī haath ghar jaane kā na.iiñ
mire beTe kisī se ishq kar
magar had se guzar jaane kā na.iiñ
vo gardan nāptā hai naap le
magar zālim se Dar jaane kā na.iiñ
saḌak par arthiyāñ hī arthiyāñ haiñ
abhī māhaul mar jaane kā na.iiñ
vabā phailī huī hai har taraf
abhī māhaul mar jaane kā na.iiñ