बुझ गया दिल हयात बाक़ी है
छुप गया चाँद रात बाक़ी है
हाल-ए-दिल उन से कह चुके सौ बार
अब भी कहने की बात बाक़ी है
ऐ ख़ुशा ख़त्म-ए-इज्तिनाब मगर
महशर-ए-इल्तिफ़ात बाक़ी है
इश्क़ में हम समझ चुके सब से
एक ज़ालिम हयात बाक़ी है
नासेहान-ए-कराम के दम से
शोरिश-ए-काएनात बाक़ी है
रात बाक़ी थी जब वो बिछड़े थे
कट गई उम्र रात बाक़ी है
रहमत-ए-बे-पनाह के सदक़े
ए’तिमाद-ए-नजात बाक़ी है
न वो दिल है न वो शबाब ‘ख़ुमार’
किस लिए अब हयात बाक़ी है
BUJH GAYĀ DIL HAYĀT BAAQĪ HAI
CHHUP GAYĀ CHĀÑD RAAT BAAQĪ HAI
HĀL-E-DIL UN SE KAH CHUKE SAU BAAR
AB BHĪ KAHNE KĪ BAAT BAAQĪ HAI
AI ḲHUSHĀ ḲHATAM-E-IJTINĀB MAGAR
MAHSHAR-E-ILTIFĀT BAAQĪ HAI
ISHQ MEÑ HAM SAMAJH CHUKE SAB SE
EK ZĀLIM HAYĀT BAAQĪ HAI
NĀSEHĀN-E-KARĀM KE DAM SE
SHORISH-E-KĀ.ENĀT BAAQĪ HAI
RAAT BAAQĪ THĪ JAB VO BICHHḌE THE
KAT GA.Ī UMR RAAT BAAQĪ HAI
RAHMAT-E-BE-PANĀH KE SADQE
E’TIMĀD-E-NAJĀT BAAQĪ HAI
NA VO DIL HAI NA VO SHABĀB ‘ḲHUMĀR’
KIS LIYE AB HAYĀT BAAQĪ HAI