- Advertisement -
भटकता फिर रहा हूँ जुस्तुजू बिन
सरापा आरज़ू हूँ आरज़ू बिन
कोई इस शहर को ताराज कर दे
हुई है मेरी वहशत हा-ओ-हू बिन
ये सब मोजिज़-नुमाई की हवस है
रफ़ूगर आए हैं तार-ए-रफ़ू बिन
मआश-ए-बे-दिलाँ पूछो न यारो
नुमू पाते रहे रिज़्क़-ए-नुमू बिन
गुज़ार ऐ शौक़ अब ख़ल्वत की रातें
गुज़ारिश बिन गिला बिन गुफ़्तुगू बिन
bhaTaktā phir rahā huuñ justujū bin
sarāpā aarzū huuñ aarzū bin
koī is shahr ko tārāj kar de
huī hai merī vahshat hā-o-hū bin
ye sab mojiz-numā.ī kī havas hai
rafūgar aa.e haiñ tār-e-rafū bin
ma.āsh-e-be-dilāñ pūchho na yaaro
numū paate rahe rizq-e-numū bin
guzār ai shauq ab ḳhalvat kī rāteñ
guzārish bin gila bin guftugū bin