14.1 C
Delhi
Friday, November 22, 2024

Buy now

Adsspot_img

Aish-E-Ummīd Hī Se Ḳhatra Hai

- Advertisement -

ऐश-ए-उम्मीद ही से ख़तरा है

दिल को अब दिल-दही से ख़तरा है

है कुछ ऐसा कि उस की जल्वत में

हमें अपनी कमी से ख़तरा है

जिस के आग़ोश का हूँ दीवाना

उस के आग़ोश ही से ख़तरा है

याद की धूप तो है रोज़ की बात

हाँ मुझे चाँदनी से ख़तरा है

है अजब कुछ मोआ’मला दरपेश

अक़्ल को आगही से ख़तरा है

शहर-ए-ग़द्दार जान ले कि तुझे

एक अमरोहवी से ख़तरा है

है अजब तौर हालत-ए-गिर्या

कि मिज़ा को नमी से ख़तरा है

हाल ख़ुश लखनऊ का दिल्ली का

बस उन्हें ‘मुसहफ़ी’ से ख़तरा है

आसमानों में है ख़ुदा तन्हा

और हर आदमी से ख़तरा है

मैं कहूँ किस तरह ये बात उस से

तुझ को जानम मुझी से ख़तरा है

आज भी कनार-ए-बान मुझे

तेरी इक साँवली से ख़तरा है

उन लबों का लहू पी जाऊँ

अपनी तिश्ना-लबी से ख़तरा है

‘जौन’ ही तो है ‘जौन’ के दरपय

‘मीर’ को ‘मीर’ ही से ख़तरा है

अब नहीं कोई बात ख़तरे की

अब सभी को सभी से ख़तरा है

aish-e-ummīd se ḳhatra hai

dil ko ab dil-dahī se ḳhatra hai

hai kuchh aisā ki us jalvat meñ

hameñ apnī kamī se ḳhatra hai

jis ke āġhosh huuñ dīvāna

us ke āġhosh se ḳhatra hai

yaad dhuup to hai roz baat

haañ mujhe chāñdnī se ḳhatra hai

hai ajab kuchh mo.āmla darpesh

aql ko āgahī se ḳhatra hai

shahr-e-ġhaddār jaan le ki tujhe

ek amrohvī se ḳhatra hai

hai ajab taur hālat-e-girya

ki mizha ko namī se ḳhatra hai

haal ḳhush lucknow dillī

bas unheñ ‘mus.hafī’ se ḳhatra hai

āsmānoñ meñ hai ḳhudā tanhā

aur har aadmī se ḳhatra hai

maiñ kahūñ kis tarah ye baat us se

tujh ko jānam mujhī se ḳhatra hai

aaj bhī ai kanār-e-bān mujhe

terī ik sāñvlī se ḳhatra hai

un laboñ lahū na jā.ūñ

apnī tishna-labī se ḳhatra hai

‘jaun’ to hai ‘jaun’ ke darpai

‘mīr’ ko ‘mīr’ se ḳhatra hai

ab nahīñ koī baat ḳhatre

ab sabhī ko sabhī se ḳhatra hai

 

Related Articles

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Stay Connected

0FansLike
3,912FollowersFollow
14,700SubscribersSubscribe
- Advertisement -spot_img

Latest Articles