ऐसा नहीं कि उन से मोहब्बत नहीं रही
जज़्बात में वो पहली सी शिद्दत नहीं रही
ज़ोफ़-ए-क़ुवा ने आमद-ए-पीरी की दी नवेद
वो दिल नहीं रहा वो तबीअ’त नहीं रही
सर में वो इंतिज़ार का सौदा नहीं रहा
दिल पर वो धड़कनों की हुकूमत नहीं रही
कमज़ोरी-ए-निगाह ने संजीदा कर दिया
जल्वों से छेड़-छाड़ की आदत नहीं रही
हाथों से इंतिक़ाम लिया इर्तिआश ने
दामान-ए-यार से कोई निस्बत नहीं रही
पैहम तवाफ़-ए-कूचा-ए-जानाँ के दिन गए
पैरों में चलने फिरने की ताक़त नहीं रही
चेहरे को झुर्रियों ने भयानक बना दिया
आईना देखने की भी हिम्मत नहीं रही
अल्लाह जाने मौत कहाँ मर गई ‘ख़ुमार’
अब मुझ को ज़िंदगी की ज़रूरत नहीं रही
AISA NAHIN KI UN SE MOHABBAT NAHIN RAHI
JAZBĀT MEÑ VO PAHLĪ SĪ SHIDDAT NAHIN RAHI
ZOF-E-QUVĀ NE ĀMAD-E-PĪRĪ KĪ DĪ NAVED
VO DIL NAHIN RAHĀ VO TABĪ.AT NAHIN RAHI
SAR MEÑ VO INTIZĀR KĀ SAUDĀ NAHIN RAHĀ
DIL PAR VO DHAḌKANOÑ KĪ HUKŪMAT NAHIN RAHI
KAMZORĪ-E-NIGĀH NE SANJĪDA KAR DIYĀ
JALVOÑ SE CHHEḌ-CHHĀḌ KĪ AADAT NAHIN RAHI
HĀTHOÑ SE INTIQĀM LIYĀ IRTI.ĀSH NE
DĀMĀN-E-YĀR SE KOĪ NISBAT NAHIN RAHI
PAIHAM TAVĀF-E-KŪCHA-E-JĀNĀÑ KE DIN GA.E
PAIROÑ MEÑ CHALNE PHIRNE KĪ TĀQAT NAHIN RAHI
CHEHRE KO JHURRIYOÑ NE BHAYĀNAK BANĀ DIYĀ
Ā.ĪNA DEKHNE KĪ BHĪ HIMMAT NAHIN RAHI
ALLĀH JAANE MAUT KAHĀÑ MAR GA.Ī ‘ḲHUMĀR’
AB MUJH KO ZINDAGI KĪ ZARŪRAT NAHIN RAHI