अब किसी से मिरा हिसाब नहीं
मेरी आँखों में कोई ख़्वाब नहीं
ख़ून के घूँट पी रहा हूँ मैं
ये मिरा ख़ून है शराब नहीं
मैं शराबी हूँ मेरी आस न छीन
तू मिरी आस है सराब नहीं
नोच फेंके लबों से मैं ने सवाल
ताक़त-ए-शोख़ी-ए-जवाब नहीं
अब तो पंजाब भी नहीं पंजाब
और ख़ुद जैसा अब दो-आब नहीं
ग़म अबद का नहीं है आन का है
और इस का कोई हिसाब नहीं
बूदश इक रू है एक रू या’नी
इस की फ़ितरत में इंक़लाब नहीं
ab kisī se mirā hisāb nahīñ
merī āñkhoñ meñ koī ḳhvāb nahīñ
ḳhuun ke ghūñT pī rahā huuñ maiñ
ye mirā ḳhuun hai sharāb nahīñ
maiñ sharābī huuñ merī aas na chhīn
tū mirī aas hai sarāb nahīñ
noch pheñke laboñ se maiñ ne savāl
tāqat-e-shoḳhī-e-javāb nahīñ
ab to punjab bhī nahīñ punjab
aur ḳhud jaisā ab do-āb nahīñ
ġham abad kā nahīñ hai aan kā hai
aur is kā koī hisāb nahīñ
būdash ik rū hai ek rū ya.anī
is kī fitrat meñ inqalāb nahīñ