Ghazal in Hindi
मेरे कारोबार में सब ने बड़ी इमदाद की
दाद लोगों की गला अपना ग़ज़ल उस्ताद की
अपनी साँसें बेच कर मैं ने जिसे आबाद की
वो गली जन्नत तो अब भी है मगर शद्दाद की
उम्र भर चलते रहे आँखों पे पट्टी बाँध कर
ज़िंदगी को ढूँडने में ज़िंदगी बर्बाद की
दास्तानों के सभी किरदार कम होने लगे
आज काग़ज़ चुनती फिरती है परी बग़दाद की
इक सुलगता चीख़ता माहौल है और कुछ नहीं
बात करते हो ‘यगाना’ किस अमीनाबाद की
mere kārobār meñ sab ne baḌī imdād kī
daad logoñ kī galā apnā ġhazal ustād kī
apnī sāñseñ bech kar maiñ ne jise ābād kī
vo galī jannat to ab bhī hai magar shaddād kī
umr bhar chalte rahe āñkhoñ pe paTTī bāñdh kar
zindagī ko DhūñDne meñ zindagī barbād kī
dāstānoñ ke sabhī kirdār kam hone lage
aaj kāġhaz chuntī phirtī hai parī baġhdād kī
ik sulagtā chīḳhtā māhaul hai aur kuchh nahīñ
baat karte ho ‘yagānā’ kis amīnābād kī