- Advertisement -
Ghazal in Hindi
चेहरों की धूप आँखों की गहराई ले गया
आईना सारे शहर की बीनाई ले गया
डूबे हुए जहाज़ पे क्या तब्सिरा करें
ये हादिसा तो सोच की गहराई ले गया
हालाँकि बे-ज़बान था लेकिन अजीब था
जो शख़्स मुझ से छीन के गोयाई ले गया
मैं आज अपने घर से निकलने न पाऊँगा
बस इक क़मीस थी जो मिरा भाई ले गया
‘ग़ालिब’ तुम्हारे वास्ते अब कुछ नहीं रहा
गलियों के सारे संग तो सौदाई ले गया
chehroñ kī dhuup āñkhoñ kī gahrā.ī le gayā
ā.īna saare shahr kī bīnā.ī le gayā
Duube hue jahāz pe kyā tabsira kareñ
ye hādisa to soch kī gahrā.ī le gayā
hālāñki be-zabān thā lekin ajiib thā
jo shaḳhs mujh se chhīn ke goyā.ī le gayā
maiñ aaj apne ghar se nikalne na pā.ūñgā
bas ik qamīs thī jo mirā bhaa.ī le gayā
‘ġhālib’ tumhāre vāste ab kuchh nahīñ rahā
galiyoñ ke saare sañg to saudā.ī le gayā