13.1 C
Delhi
Tuesday, December 24, 2024

Buy now

Adsspot_img

Pichhli Raat Ki Narm Chandni Shabnam Ki Ḳhunki Se Racha Hai By Bashir Badr

- Advertisement -

Ghazal in Hindi

पिछली रात की नर्म चाँदनी शबनम की ख़ुनकी से रचा है

यूँ कहने को उस का तबस्सुम बर्क़-सिफ़त है शो’ला-नुमा है

वक़्त को माह-ओ-साल की ज़ंजीरों में जकड़ कर क्या पाया है

वक़्त तो माह-ओ-साल की ज़ंजीरों में और भी तेज़ बढ़ा है

इक मा’सूम से प्यार का तोहफ़ा घर के आँगन में पाया था

उस को ग़म के पागल-पन में कोठे कोठे बाँट दिया है

आँसू तारे रंग गुलाब सभी परदेस चले जाते हैं

आख़िर आख़िर तन्हाई है किस ने किस का साथ दिया है

नज़्म ग़ज़ल अफ़्साना गीत इक तरह ही ग़म था जिस को हम ने

कैसा कैसा नाम दिया है कैसे कैसे बाँट लिया है

आहों के बादल क्यूँ दिल में बिन बरसे ही लौट गए हैं

अब के बरस सावन का महीना कैसा प्यासा प्यासा गया है

फूल सी हर तस्वीर में ज़ेहन की दीवारों से उतार चुका हूँ

फिर भी दिल में काँटा सा क्यूँ रह रह कर चुभता रहता है

मजबूरी थी सब्र किया है पाँव को तोड़ के बैठ रहे हैं

नगरी नगरी देख चुके हैं द्वारे द्वारे झाँक लिया है

मुझ को उन सच्ची बातों से अपने झूट बहुत प्यारे हैं

जिन सच्ची बातों से अक्सर इंसानों का ख़ून बहा है

‘बद्र’ तुम्हारी फ़िक्र-ए-सुख़न पर इक अल्लामा हँस कर बोले

वो लड़का नौ-उम्र परिंदा ऊँचा उड़ना सीख रहा है

Ghazal in English

pichhlī raat narm chāñdnī shabnam ḳhunkī se rachā hai

yuuñ kahne ko us tabassum barq-sifat hai sho.ala-numā hai

vaqt ko māh-o-sāl zanjīroñ meñ jakaḌ kar kyā paayā hai

vaqt to māh-o-sāl zanjīroñ meñ aur bhī tez baḌhā hai

ik ma.asūm se pyaar tohfa ghar ke āñgan meñ paayā thā

us ko ġham ke pāgal-pan meñ koThe koThe baañT diyā hai

aañsū taare rañg gulāb sabhī pardes chale jaate haiñ

āḳhir āḳhir tanhā.ī hai kis ne kis saath diyā hai

nazm ġhazal afsāna giit ik tarah ġham thā jis ko ham ne

kaisā kaisā naam diyā hai kaise kaise baañT liyā hai

aahoñ ke bādal kyuuñ dil meñ bin barse lauT ga.e haiñ

ab ke baras sāvan mahīna kaisā pyāsā pyāsā gayā hai

phuul har tasvīr meñ zehn dīvāroñ se utaar chukā huuñ

phir bhī dil meñ kāñTā kyuuñ rah rah kar chubhtā rahtā hai

majbūrī thī sabr kiyā hai paañv ko toḌ ke baiTh rahe haiñ

nagrī nagrī dekh chuke haiñ dvāre dvāre jhāñk liyā hai

mujh ko un sachchī bātoñ se apne jhuuT bahut pyāre haiñ

jin sachchī bātoñ se aksar insānoñ ḳhuun bahā hai

‘badr’ tumhārī fikr-e-suḳhan par ik allāma hañs kar bole

vo laḌkā nau-umr parinda ūñchā uḌnā siikh rahā hai

Related Articles

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Stay Connected

0FansLike
3,912FollowersFollow
14,700SubscribersSubscribe
- Advertisement -spot_img

Latest Articles