फ़लक से चाँद सितारों से जाम लेना है
मुझे सहर से नई एक शाम लेना है
किसे ख़बर कि फ़रिश्ते ग़ज़ल समझते हैं
ख़ुदा के सामने काफ़िर का नाम लेना है
मुआ’मला है तिरा बदतरीन दुश्मन से
मिरे अज़ीज़ मोहब्बत से काम लेना है
महकती ज़ुल्फ़ों से ख़ुशबू चमकती आँख से धूप
शबों से जाम-ए-सहर का सलाम लेना है
तुम्हारी चाल की आहिस्तगी के लहजे में
सुख़न से दिल को मसलने का काम लेना है
नहीं मैं ‘मीर’ के दर पर कभी नहीं जाता
मुझे ख़ुदा से ग़ज़ल का कलाम लेना है
बड़े सलीक़े से नोटों में उस को तुल्वा कर
अमीर-ए-शहर से अब इंतिक़ाम लेना है
falak se chāñd sitāroñ se jaam lenā hai
mujhe sahar se na.ī ek shaam lenā hai
kise ḳhabar ki farishte ġhazal samajhte haiñ
ḳhudā ke sāmne kāfir kā naam lenā hai
muāmla hai tirā badtarīn dushman se
mire aziiz mohabbat se kaam lenā hai
mahaktī zulfoñ se ḳhushbū chamaktī aañkh se dhuup
shaboñ se jām-e-sahar kā salām lenā hai
tumhārī chaal kī āhistagī ke lahje meñ
suḳhan se dil ko masalne kā kaam lenā hai
nahīñ maiñ ‘mīr’ ke dar par kabhī nahīñ jaatā
mujhe ḳhudā se ġhazal kā kalām lenā hai
baḌe salīqe se noToñ meñ us ko tulvā kar
amīr-e-shahr se ab intiqām lenā hai