- Advertisement -
मान मौसम का कहा छाई घटा जाम उठा
आग से आग बुझा फूल खिला जाम उठा
पी मिरे यार तुझे अपनी क़सम देता हूँ
भूल जा शिकवा गिला हाथ मिला जाम उठा
हाथ में चाँद जहाँ आया मुक़द्दर चमका
सब बदल जाएगा क़िस्मत का लिखा जाम उठा
एक पल भी कभी हो जाता है सदियों जैसा
देर क्या करना यहाँ हाथ बढ़ा जाम उठा
प्यार ही प्यार है सब लोग बराबर हैं यहाँ
मय-कदे में कोई छोटा न बड़ा जाम उठा
maan mausam kā kahā chhā.ī ghaTā jaam uThā
aag se aag bujhā phuul khilā jaam uThā
pī mire yaar tujhe apnī qasam detā huuñ
bhuul jā shikva gila haath milā jaam uThā
haath meñ chāñd jahāñ aayā muqaddar chamkā
sab badal jā.egā qismat kā likhā jaam uThā
ek pal bhī kabhī ho jaatā hai sadiyoñ jaisā
der kyā karnā yahāñ haath baḌhā jaam uThā