13.1 C
Delhi
Monday, December 23, 2024

Buy now

Adsspot_img

Nazar Se Guftugu Ḳhamosh Lab Tumhari Tarah by Bashir Badr

- Advertisement -

Ghazal in Hindi

नज़र से गुफ़्तुगू ख़ामोश लब तुम्हारी तरह

ग़ज़ल ने सीखे हैं अंदाज़ सब तुम्हारी तरह

जो प्यास तेज़ हो तो रेत भी है चादर-ए-आब

दिखाई दूर से देते हैं सब तुम्हारी तरह

बुला रहा है ज़माना मगर तरसता हूँ

कोई पुकारे मुझे बे-सबब तुम्हारी तरह

हवा की तरह मैं बे-ताब हूँ कि शाख़-ए-गुलाब

लहकती है मिरी आहट पे अब तुम्हारी तरह

मिसाल-ए-वक़्त में तस्वीर-ए-सुब्ह-ओ-शाम हूँ अब

मिरे वजूद पे छाई है शब तुम्हारी तरह

सुनाते हैं मुझे ख़्वाबों की दास्ताँ अक्सर

कहानियों के पुर-असरार लब तुम्हारी तरह

Ghazal in English

nazar se guftugū ḳhāmosh lab tumhārī tarah

ġhazal ne sīkhe haiñ andāz sab tumhārī tarah

jo pyaas tez ho to ret bhī hai chādar-e-āb

dikhā.ī duur se dete haiñ sab tumhārī tarah

bulā rahā hai zamāna magar tarastā huuñ

koī pukāre mujhe be-sabab tumhārī tarah

havā tarah maiñ be-tāb huuñ ki shāḳh-e-gulāb

lahaktī hai mirī aahaT pe ab tumhārī tarah

misāl-e-vaqt meñ tasvīr-e-sub.h-o-shām huuñ ab

mire vajūd pe chhā.ī hai shab tumhārī tarah

sunāte haiñ mujhe ḳhvāboñ dāstāñ aksar

kahāniyoñ ke pur-asrār lab tumhārī tarah

Related Articles

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Stay Connected

0FansLike
3,912FollowersFollow
14,700SubscribersSubscribe
- Advertisement -spot_img

Latest Articles