23.1 C
Delhi
Friday, November 22, 2024

Buy now

Adsspot_img

Jab Tak Nigar-E-Dasht Ka Siina Dukha Na Tha by Bashir Badr

- Advertisement -

Ghazal in Hindi

जब तक निगार-ए-दश्त का सीना दुखा था

सहरा में कोई लाला-ए-सहरा खिला था

दो झीलें उस की आँखों में लहरा के सो गईं

उस वक़्त मेरी उम्र का दरिया चढ़ा था

जागी थीं नसों में तमन्ना की नागिनें

उस गंदुमी शराब को जब तक चखा था

ढूँडा करो जहान-ए-तहय्युर में उम्र भर

वो चलती फिरती छाँव है मैं ने कहा था

इक बेवफ़ा के सामने आँसू बहाते हम

इतना हमारी आँख का पानी मरा था

वो काले होंट जाम समझ कर चढ़ा गए

वो आब जिस से मैं ने वुज़ू तक किया था

सब लोग अपने अपने ख़ुदाओं को लाए थे

एक हम ऐसे थे कि हमारा ख़ुदा था

वो काली आँखें शहर में मशहूर थीं बहुत

तब उन पे मोटे शीशों का चश्मा चढ़ा था

मैं साहिब-ए-ग़ज़ल था हसीनों की बज़्म में

सर पर घनेरे बाल थे माथा खुला था

Ghazal in English

jab tak nigār-e-dasht siina dukhā na thā

sahrā meñ koī lāla-e-sahrā khilā na thā

do jhīleñ us āñkhoñ meñ lahrā ke so ga.iiñ

us vaqt merī umr dariyā chaḌhā na thā

jaagī na thiiñ nasoñ meñ tamannā nāgineñ

us gandumī sharāb ko jab tak chakhā na thā

DhūñDā karo jahān-e-tahayyur meñ umr bhar

vo chaltī phirtī chhāñv hai maiñ ne kahā na thā

ik bevafā ke sāmne aañsū bahāte ham

itnā hamārī aañkh paanī marā na thā

vo kaale hoñT jaam samajh kar chaḌhā ga.e

vo aab jis se maiñ ne vuzū tak kiyā na thā

sab log apne apne ḳhudāoñ ko laa.e the

ek ham aise the ki hamārā ḳhudā na thā

vo kaalī āñkheñ shahr meñ mash.hūr thiiñ bahut

tab un pe moTe shīshoñ chashma chaḌhā na thā

maiñ sāhib-e-ġhazal thā hasīnoñ bazm meñ

sar par ghanere baal the māthā khulā na thā

Related Articles

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Stay Connected

0FansLike
3,912FollowersFollow
14,700SubscribersSubscribe
- Advertisement -spot_img

Latest Articles