- Advertisement -
हल्की हल्की बारिशें होती रहीं
हम भी फूलों की तरह भीगा करें
आँख मूँदे उस गुलाबी धूप में
देर तक बैठे उसे सोचा करें
दिल मोहब्बत दीन दुनिया शाइ’री
हर दरीचे से तुझे देखा करें
घर नया कपड़े नए बर्तन नए
इन पुराने काग़ज़ों का क्या करें
ab kise chāheñ kise DhūñDā kareñ
halkī halkī bārisheñ hotī rahīñ
ham bhī phūloñ kī tarah bhīgā kareñ
aañkh mūñde us gulābī dhuup meñ
der tak baiThe use sochā kareñ
dil mohabbat diin duniyā shā.irī
har darīche se tujhe dekhā kareñ
ghar nayā kapḌe na.e bartan na.e
in purāne kāġhazoñ kā kyā kareñ