- Advertisement -
मस्कन-ए-माह-ओ-साल छोड़ गया
दिल को उस का ख़याल छोड़ गया
ताज़ा-दम जिस्म-ओ-जाँ थे फ़ुर्क़त में
वस्ल उस का निढाल छोड़ गया
अहद-ए-माज़ी जो था अजब पुर-हाल
एक वीरान हाल छोड़ गया
झाला-बारी के मरहलों का सफ़र
क़ाफ़िले पाएमाल छोड़ गया
दिल को अब ये भी याद हो कि न हो
कौन था क्या मलाल छोड़ गया
मैं भी अब ख़ुद से हूँ जवाब-तलब
वो मुझे बे-सवाल छोड़ गया
maskan-e-māh-o-sāl chhoḌ gayā
dil ko us kā ḳhayāl chhoḌ gayā
tāza-dam jism-o-jāñ the furqat meñ
vasl us kā niDhāl chhoḌ gayā
ahd-e-māzī jo thā ajab pur-hāl
ek vīrān haal chhoḌ gayā
jhālā-bārī ke marhaloñ kā safar
qāfile pā.emāl chhoḌ gayā
dil ko ab ye bhī yaad ho ki na ho
kaun thā kyā malāl chhoḌ gayā
maiñ bhī ab ḳhud se huuñ javāb-talab
vo mujhe be-savāl chhoḌ gayā