25.1 C
Delhi
Thursday, November 21, 2024

Buy now

Adsspot_img

Tiflān-E-Kūcha-Gard Ke Patthar Bhī Kuchh Nahīñ

- Advertisement -

तिफ़्लान-ए-कूचा-गर्द के पत्थर भी कुछ नहीं

सौदा भी एक वहम है और सर भी कुछ नहीं

मैं और ख़ुद को तुझ से छुपाऊँगा या’नी मैं

ले देख ले मियाँ मिरे अंदर भी कुछ नहीं

बस इक गुबार-ए-वहम है इक कूचा-गर्द का

दीवार-ए-बूद कुछ नहीं और दर भी कुछ नहीं

ये शहर-दार-ओ-मुहतसिब-ओ-मौलवी ही क्या

पीर-ए-मुग़ान-ओ-रिन्द-ओ-क़लंदर भी कुछ नहीं

शैख़-ए-हराम-लुक़्मा की पर्वा है क्यूँ तुम्हें

मस्जिद भी उस की कुछ नहीं मिम्बर भी कुछ नहीं

मक़्दूर अपना कुछ भी नहीं इस दयार में

शायद वो जब्र है कि मुक़द्दर भी कुछ नहीं

जानी मैं तेरे नाफ़-पियाले पे हूँ फ़िदा

ये और बात है तिरा पैकर भी कुछ नहीं

ये शब का रक़्स-ओ-रंग तो क्या सुन मिरी कुहन

सुब्ह-ए-शिताब-कोश को दफ़्तर भी कुछ नहीं

बस इक ग़ुबार तूर-ए-गुमाँ का है तह-ब-तह

या’नी नज़र भी कुछ नहीं मंज़र भी कुछ नहीं

है अब तो एक जाल सुकून-ए-हमेशगी

पर्वाज़ का तो ज़िक्र ही क्या पर भी कुछ नहीं

कितना डरावना है ये शहर-ए-नबूद-ओ-बूद

ऐसा डरावना कि यहाँ डर भी कुछ नहीं

पहलू में है जो मेरे कहीं और है वो शख़्स

या’नी वफ़ा-ए-अहद का बिस्तर भी कुछ नहीं

निस्बत में उन की जो है अज़िय्यत वो है मगर

शह-रग भी कोई शय नहीं और सर भी कुछ नहीं

याराँ तुम्हें जो मुझ से गिला है तो किस लिए

मुझ को तो ए’तिराज़ ख़ुदा पर भी कुछ नहीं

गुज़रेगी ‘जौन’ शहर में रिश्तों के किस तरह

दिल में भी कुछ नहीं है ज़बाँ पर भी कुछ नहीं

tiflān-e-kūcha-gard ke patthar bhī kuchh nahīñ

saudā bhī ek vahm hai aur sar bhī kuchh nahīñ

maiñ aur ḳhud ko tujh se chhupā.ūñgā ya.anī maiñ

le dekh le miyāñ mire andar bhī kuchh nahīñ

bas ik gubār-e-vahm hai ik kūcha-gard

dīvār-e-būd kuchh nahīñ aur dar bhī kuchh nahīñ

ye shahr-dār-o-muhtasib-o-maulavī kyā

pīr-e-muġhān-o-rind-o-qalandar bhī kuchh nahīñ

shaiḳh-e-harām-luqma parvā hai kyuuñ tumheñ

masjid bhī us kuchh nahīñ mimbar bhī kuchh nahīñ

maqdūr apnā kuchh bhī nahīñ is dayār meñ

shāyad vo jabr hai ki muqaddar bhī kuchh nahīñ

jaanī maiñ tere nāf-piyāle pe huuñ fidā

ye aur baat hai tirā paikar bhī kuchh nahīñ

ye shab raqs-o-rañg to kyā sun mirī kuhan

sub.h-e-shitāb-kosh ko daftar bhī kuchh nahīñ

bas ik ġhubār tūr-e-gumāñ hai tah-ba-tah

ya.anī nazar bhī kuchh nahīñ manzar bhī kuchh nahīñ

hai ab to ek jaal sukūn-e-hameshgī

parvāz to zikr kyā par bhī kuchh nahīñ

kitnā Darāvnā hai ye shahr-e-nabūd-o-būd

aisā Darāvnā ki yahāñ Dar bhī kuchh nahīñ

pahlū meñ hai jo mere kahīñ aur hai vo shaḳhs

ya.anī vafā-e-ahd bistar bhī kuchh nahīñ

nisbat meñ un jo hai aziyyat vo hai magar

shah-rag bhī koī shai nahīñ aur sar bhī kuchh nahīñ

yārāñ tumheñ jo mujh se gila hai to kis liye

mujh ko to e’tirāz ḳhudā par bhī kuchh nahīñ

guzregī ‘jaun’ shahr meñ rishtoñ ke kis tarah

dil meñ bhī kuchh nahīñ hai zabāñ par bhī kuchh nahīñ

Related Articles

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Stay Connected

0FansLike
3,912FollowersFollow
14,700SubscribersSubscribe
- Advertisement -spot_img

Latest Articles