दिल जो इक जाए थी दुनिया हुई आबाद उस में
पहले सुनते हैं कि रहती थी कोई याद उस में
वो जो था अपना गुमान आज बहुत याद आया
थी अजब राहत-ए-आज़ादी-ए-ईजाद उस में
एक ही तो वो मुहिम थी जिसे सर करना था
मुझे हासिल न किसी की हुई इमदाद उस में
एक ख़ुश्बू में रही मुझ को तलाश-ए-ख़द-ओ-ख़ाल
रंग फ़सलें मिरी यारो हुईं बरबाद उस में
बाग़-ए-जाँ से तू कभी रात गए गुज़रा है
कहते हैं रात में खेलें हैं परी-ज़ाद उस में
दिल-मोहल्ले में अजब एक क़फ़स था यारो
सैद को छोड़ के रहने लगा सय्याद उस में
dil jo ik jaa.e thī duniyā huī ābād us meñ
pahle sunte haiñ ki rahtī thī koī yaad us meñ
vo jo thā apnā gumān aaj bahut yaad aayā
thī ajab rāhat-e-āzādī-e-ījād us meñ
ek hī to vo muhim thī jise sar karnā thā
mujhe hāsil na kisī kī huī imdād us meñ
ek ḳhushbū meñ rahī mujh ko talāsh-e-ḳhad-o-ḳhāl
rañg fasleñ mirī yaaro huiiñ barbād us meñ
bāġh-e-jāñ se tū kabhī raat ga.e guzrā hai
kahte haiñ raat meñ kheleñ haiñ parī-zād us meñ
dil-mohalle meñ ajab ek qafas thā yaaro
said ko chhoḌ ke rahne lagā sayyād us meñ