इंक़लाब एक ख़्वाब है सो है
दिल की दुनिया ख़राब है सो है
रहियो तो यूँही महव-ए-आराइश
बाहर इक इज़्तिराब है सो है
तर है दश्त उस के अक्स-ए-मंज़र से
और ख़ुद वो सराब है सो है
जो भी दश्त-ए-तलब का है पस-ए-रू
वही ज़र्रीं-रिकाब है सो है
शैख़ साहब लिए फिरें तेग़ा
बरहमन फ़त्ह-याब है सौ है
दहर आशोब है सवालों का
और ख़ुदा ला-जवाब है सो है
इस शब-ए-तीरा-ए-हमेशा में
रौशनी एक ख़्वाब है सो है
inqalāb ek ḳhvāb hai so hai
dil kī duniyā ḳharāb hai so hai
rahiyo to yūñhī mahv-e-ārā.ish
bāhar ik iztirāb hai so hai
tar hai dasht us ke aks-e-manzar se
aur ḳhud vo sarāb hai so hai
jo bhī dasht-e-talab kā hai pas-e-rū
vahī zarrīñ-rikāb hai so hai
shaiḳh sāhab liye phireñ teġhā
barahman fat.h-yāb hai sau hai
dahr āshob hai savāloñ kā
aur ḳhudā lā-javāb hai so hai
is shab-e-tīra-e-hamesha meñ
raushnī ek ḳhvāb hai so hai